Adhar mai hai latka ye dil kuch akela hai
Jo ooper dekhun to siyaah raat hai or neeche roshni ka mela hai
Machalti har lau ne ek saaz sa cheda hai
Door kahin chalta sheher hai or yahan kuch sukoon ka basera hai
Aisi khamoshi mai sath ek khamosh sa dost hai
Aisi tanhayee mai ek behad tanha sa yaar hai
Choo jati hain Mann ko zara wo uski jhakjhorti si nazrein hain
Wo uska chup sa andaaz hai or wo bahadur si muskaan hai
Hai kaabil e tareef wo zindagi k ehsaas batane ka uska andaz hai
Or kabhi kabhi kuch na keh kar bhi poora attention le le uski ye adaa kuch khaas hai
Hain chuppi ki dor se bandhe hum ek choti si chath pe baithe
Kuch wo akela sukoon mai laga or kuch hum shayarana nikle
K hain to dono sath par na hulchul karne ki koi jaldi hai or na abhi savera hai
Door kahin chalta sheher hai or yahan bass sukoon ka basera hai
In remembrance of the times at The peacock rooftop restaurant ( Pink city ) with Lishki Sehgal ( the friend you pack your bags with and set out of the house in search of some adventure and some meaning in life together)
Signing off
Neha Chauhan
“A journey is best measured in friends, rather than miles.” – Tim Cahill
ReplyDelete