Monday, December 19, 2016

The Rooftop



Adhar mai hai latka ye dil kuch akela hai
Jo ooper dekhun to siyaah raat hai or neeche roshni ka mela hai 

Machalti har lau ne ek saaz sa cheda hai 
Door kahin chalta sheher hai or yahan kuch sukoon ka basera hai

Aisi khamoshi mai sath ek khamosh sa dost hai 
Aisi tanhayee mai ek behad tanha sa yaar hai
Choo jati hain Mann ko  zara wo uski jhakjhorti si nazrein hain
Wo uska chup sa andaaz hai or  wo bahadur si muskaan hai

Hai kaabil e tareef wo zindagi k ehsaas batane ka uska andaz hai 
Or kabhi kabhi kuch na keh kar bhi  poora attention le le uski ye adaa kuch khaas hai 

Hain chuppi ki dor se bandhe hum ek choti si chath pe baithe
Kuch wo akela sukoon mai laga  or kuch hum shayarana nikle 

K hain to dono sath par na hulchul karne ki koi jaldi hai or na abhi savera hai 
Door kahin chalta sheher hai or yahan bass  sukoon ka basera hai 



In remembrance of the times at The peacock rooftop restaurant ( Pink city ) with Lishki Sehgal ( the friend you pack your bags with and set out of the house in search of some adventure and some meaning in life together) 

Signing off
Neha Chauhan